Aarzoo Shayari, Status in Hindi
Created At: 18/06/2023, 02:24:00
Updated At: 18/06/2023, 02:24:00
Sitaare tod ker le aao ISHQ-E-DUM ager bharte ho,
Khokhale waado pe humko kabhi aitbaar nhi hota…..
Dena padenge imtihaan k ager tu mera azeez hai,
Ki hame ajnabi logo se kabhi pyar nhi hota..
Aankhe thaki hui hai khawaisho k khawaab se hamari,
Kisi gair k liye barso tk intzaar nhi hota….Hum acche hain jaise hai badalne ki nahi aarzooo,
Hamara wajood kabhi kisi ki hasrato ka shikaar nhi hota…
Tere sapno wich aake tenu satavaga
Tu ruth vi jayegi ta tenu manavaga
Man javi aae sanam mere manane se
Warna akhna vich anshu leke main kithe jawaga :)
Teri Khawish Us Waqt Bahut Tarpati Hai
Sawan Me Koi Boond Jab Bikhar Jati Hai
Meri Ruh Bhi Tarapne Lagti Hai Us Pal
Jab Thandi Hawa Teri Gali Se Guzar Kar Aati Hai
Kya Bus Tha K Hum Khud Ko Hausala Datey
Yahi Bahoot Tha K Her Gum Pe Muskura Datey
Hawa Ki Door Ulajhti Jo Ungliyoon Se Kabhi
Hum Aassmaan Pe Tera Naam Tak Saja Datey
Tera Dard Tha Teri Yaad Thi
Main Jidhar Raha Main Jidhar Gya
Mera Din To Yunhi Guzar Gya
Is Abar Ka Mere Yaar Se
Bara Milta Julta Mizaj Tha
Kabi Toot Kar Baras Gya
Kabi Be-rukhi Se Guzar Gya
Jab Chor Dunga Main wo Gali
Ause Yaad Aegi Tab Meri
Muje Dhoonday Gi wo Gali Gali
To Khabar Mile Gi Main Mar Gya
Abi Tang Hai Mere Naam Se
Mere Baad Raah Main Dostoon
Wo Tumhi Ko Rok Rok k Puche Gi
Aisa Lagta Hai Zindagi Tum Ho
Ajnabee, Kaise Ajnabee Tum Ho?
Main Zameen Par Ghana Andhera Hoon
Aasmaanon Ki Chaandini Tum Ho
Ab Koi Aarzoo Nahin Baakee
Joostjoo Meree Aakhree Tum Ho
Doston-Se Wafa Ki Ummeeden!
Kis Zamaane Ke Aadmee Tum Ho?
Ana Ki Qaid Se Nikle Muqabla To Kare
Woh Mera Saath Nibhane Ka Hosla To Kare
Kabhi Na Tootnay Wala Hisaar Ban Jaon
Woh Meri Zaat Main Rehnay Ka Faisla To Kare
Kash Hum Bezubaan Hote
Naa Fir Gham Yun Bayaan Hote
Kash Naa Hoti Zindagi Ki Samajh
Naa Fir Yun Afsaane Jawaan Hote
Kash Naa Khwahish Hoti Kuch Paane Ki
Naa Fir Kuch Khone K Gham Yahan Hote
Gar Tod Jaata Koi Ashiyaan Humara
Fir Bhi Khoobsurat Saare Samaan Hote
Lut Jaati Gar Roshni-E-Zindagi
Fir Bhi Andhere Naa Yahan Hote
Toot-Te Hue Bhi Be-Shubhaah Hote
Kash Hum Bezubaan Hote !!