Manzil bhi uski thi rasta bhi uska tha, Ek hum akele the
kafeela bhi uska tha Sath-sath chalne ki kasam bhi usi ki thi Aur
rasta badalne ka faisla bhi uska tha.
Tum se mile to khud se zyada tumko akela paaya humne
Aaj parchai se puch hi liya, kyu chalti ho……mere sath usne
bhi haske kahan aur kaun hai…….tere sath..!
Ye Bhi Shayad Zindagi Ki Ek Adaa Hai Dosto, Jisko Koi Mil Gaya
Woh Aur Tanha Ho Gaya
Apni toh zindagi ki ajeeb kahani hai, Jis cheez ko chaha vo hi
begani hai.
वो जोश-ए-तन्हाई शब-ए-ग़म, वो हर तरफ बेकसी का आलम, कटी है आँखों में
रात सारी, तड़प तड़प कर सहर हुयी।
Ek chahat hoti hai apno ke sath jeene ki, Varna pata toh hume
bhi hai ki upar akele hi jana hai.
Sach kaha tha kisi ne Akele jeena sikh lo, Log kitne bhi acche
kyu na ho sath chor hi jate hai.
Tere jane ke baad kuch ajeeb si kahani meri,
Na koi zakhm na koi nishani teri.
Har koi puchta hain mujhse,
Kaha gayi woh dewaani teri,
Bas has kar ye jawab de jata hu,
Woh thi ek ansuni kahani meri,
Har raat meri tanhayi pucha karti hain
Kaha gayi woh pagli si dewaani teri,
Aur main bas yahi keh pata hu,
Woh hain ek adhuri kahani meri.
Har sitam seh kar kitne gum chipaye humne,
Teri khaatir har din aansoo bahaye humne,
Tu chod gaya jaha hume raaho mein akela,
Bas tere diye zakhm har ek se chipaye humne.
wahi log aksar akele kyu reh jate hai, Jo kisi ko dard dene ke
bare mein sochte tak nahi.