Kaha us ney "bharosa dil pe itna nahi kartey" Kaha mainey "pyar mai kabhi socha nahi kartey"

Kaha us ney "bahot khush rang duniya ke nazare hai" Kaha mainey "jab tum saath ho toh hum kuch aur dekha nahi kartey"

Kaha us ney "mai tumse durr hu lekin tumahri hu" Kaha mainey "sapney abb dil ko behlaya nahi kartey"

Kaha us ney "tumhari chahat tum hai ruswaiya degi" Kaha mainey "shohrat se ashiq ghabraya nahi kartey"

Kaha us ney "samaz jaao meri jaan " Kaha mainey "dewane ko samzaya ni kartey"