चेहरे पे मेरे ज़ुल्फ़ को फैलाओ किसी दिन क्या रोज़ गरजते हो बरस जाओ किसी दिन
Us Ney Kaha Sun
Ehead Nibhaney Ki Khatir Mat Aana
Ehaed Nibhaney Waley Aksar
Majboori Ya Mahjoori Ki
Thakaan Sey Louta Kartey Hain
Tum Jaoo
Aur Dariya Dariya Piyaas Bhujaoo
Jin Aankhoon Main Dubo
Jis Dil Main Bhi Utro
Meri Talab Aawaz Na Degi
Lekin Jab Meri Chahat Aur Khuwahish Ki Lou
Itni Tez Aur Itni Oonchi Ho Jaey
Jab Dil Ro Dey
TAB LOUT AANAA
TAB LOUT AANA
Kash Hath Tumhara Hamara Yuhi Sada Mila Rahe
Kash Pyara Sa Ye Rishta Yuhi Barqarar Rahe
Chalti Hai Dhadkane Sanson Ke Chalne Se
Kash Yuhi Tum Mere Dil Mein Basi Rahe
Nanhi Si Muskaan Hothon Ki Tumhari
Kash Yuhi Hamein Zindagi Jine Ka Bahana Deti Rahe
Juki Juki Tumhari Ye Shararat Bhari Aankhein
Kash Yuhi Hamein Dunia Se Bekhabar Karti Rahe
Chehre Ki Wo Masumiyat, Baaton Ki Wo Nazakat
Kash Yuhi Mere Dil Ko Bhati Rahe
Sangit Ho Tum Meri Veraan Zindagi Ka
Kash Dhadkan Tumhari Yuhi Sargam Banti Rahe
Chandni To Nahi Bichadti Kabhi Chand Se
Kash Yuhi Sada Tum Mera Sath Deti Rahe
Rawani Ye Pyaar Ki Jo Sansoo Mai Hai
Kash Yuhi Mohabbat Ke Har Mukam Se Guzarti Rahe
Har Baar Usi Ki Guftgun... Sau Baar Usi Ki Aarzoo, Wo Paas Nahi
Hota To Bhi Hai Mere Rubru..
Mera Gi Tu Chahay
Ye Chanda Sitaray
Aanchal Pay Tumharay
Mien Taanq Doun…..
Mera Gi Tu Chahay
Ye Saray Nazaray
Tumhien Apnay Rub Say
Mien Maang Doun…..
Ye Chanda Sitaray
Ye Saray Nazary
Tumhien Sounp Ker
Ager Tu Ju Chahay
Tumhien Apnay Rub Say
Mien Maang Loun?
Log Karte Hain Baten Apne Logon Se
Main Kis Se Baat Karoon Kahan Se Use Dhoond K Laoon
Kash Tera Ghar Mere Ghar K Samne Hota
Milna To Na Sahi Deedar Hi Naseeb Hota
Kash Mein…
Farmahbardar Beti Hoti To
Maa Baap Ke Sath Fareb Nahi Karti…
Kash Mein…
Mein Hoti To
Aaj Tumari Zindagi Mein Nahi Aati…
Kash Mein Aur Tum…
Sath Hote To
Aaj Hum Itni Pareshan Nahi Hote
Rafta-rafta bhuj gya chirag-e-aarzoo... pehle dil khamosh tha ab
khwaaishe khamosh hai...!!
Meri Zindagi Kay Raaz Main Aik Raaz Tum Bhi Ho
Meri Bandagi Ki Pyas Main Aol Pyas Tum Bhi Ho
Tum Kia Ho Kuch To Ho Yaa Kuch Nahi Magar
Meri Zindagi Ki Kash Main Aik Kash Tum Bhi Ho
Wo Tum Thay Ya Ek Khayal Tha
Mari Soch Ka Hi Kamal Tha
Wo Muhabbatein , Wo Chahaten
Mari Uljhano Ka Hi Jaal Tha
Mujhe Jawab Jis Ka Mila Nahi
Wo Aisa Hi Ek Sawal Tah
Wo Aj Gaya To Ehsaas Hua
Kis Qadar Mujhe Us Se Pyar Tha
Ab Uski Kya Main Misaal Doon
Wo Apni Misaal Aap Tha
Arzu E Dil Ne Hame Diwana Bana Diya
Roye Na The Kabhi Aap Ne Rula Diya
Hum Ne To Har Waqt Yad Kia Lekin
Aap Ne Yaad Karte Karte Zamana Laga Diya
Dayar-E-Gair Mein Kaise Tujhe Sada Dete
Tu Mil Bhi Jata To Tujhe Ganwa Dete
Tumhin Ne Ham Ko Sunaya Na Apna Dukh Warna
Dua Wo Karte K Ham Asman Hila Dete
Hamein Ye Zom Raha Ab K Wo Pukarenge
Unhen Ye Zid Thi K Har Bar Ham Sada Dete
Wo Tera Gam Tha K Tasir Mere Lahje Ki
K Jis Ko Hal Sunate Use Rula Dete
Tumhen Bhulna Hi Awwal To Dastaras Mein Nahin
Jo Ikhtiyar Bhi Hota To Kya Bhula Dete
Tumhari Yad Ne Koi Jawab Hi Na Diya
Mere Khayal K Ansu Rahe Sada Dete
Samton Ko Main Ta-Umr Kosta Syed
Wo Kuch Na Kahte Magar Honth To Hila Dete
Na Umeedain Kisi Se Rakhtey To Acha Hota
Aitbar Na Kisi Pe Kartey To Acha Hota
Sabaq Daita Hai Zamana Yeh Auron Ko Giraney Ka
Sahara Na Kisi Ko Samjhtey To Acha Hota
Yaqeen Apni Kamyabi Ka Kisi Ko Kab Hota Hai
Taqdeer K Muqabil Na Hotey To Acha Hota
Sochtey They Aitbar Andha Ho Ga Dewana Tum Per
Na Khuwaab Jagtey Main Daikhtey To Acha Hota
Na Chatey Tum Kisi Ko Na Koi Tumheen Poojta
Na Achey Kisi Ko Lagtey To Acha Hota
Darya Mohabbat Ka Kab Koi Paar Karta Hai Dost
Na Mohabbat Kisi Se Kartey To Acha Hota
aarzoo bachpan se thi chand dekhne ki...! aur fir yu huya, ki
hum aap se takra gaye....!!
Main Jis Kay Dil Ki Kitab Banta
Main Jis Ki Chahat Ka Khawab Banta
Main Hijar Mosam Ki Lambi Raaton Main Yaad
Ban Kar Azaab Banta
Koi To Hota?
Jo Meri Khwaish Main Uth Kar Raaton Ko Khoob Rota
Dukhon Ki Chadar Lapait Kar Hajoom Duniya Say Door Hota
Main Rooth Jaata Manata Mujh Ko Kay Chahe Mera Kasoor Hota
Koi To Hota?
Jo Mujh Ko Dil Ka Karar Kehta
Ragoo Ka Apni Fishar Kehta
Udaas Mosam Main Tazgi Ki Biyar Ban Kar
Jo Meri Bahoon Ko Arzoo Ka Diyar Kehta
Koi To Hota?
Dua Say Apni Jo Dukh Bhi Meray Samait Leta
Woh Iss Jahan Say Ghamon Ka Meray Hisab Leta
Woh Sari Duniya Ki Rafaqaton Kay Tamam Rishtay
Koi To Hota?
Main Jis Kay Itna Kareeb Hota
Na Paas Koi Rakeeb Hota
Main Tanha Uss Ka Habbib Hota
Yeh Silsila Bhi Ajeeb Hota
Koi To Hota? Kaash
Koi To Hota?
Mehfil K Rang Aur Hote ,Tanhaian Kash Na Hoten
Itne Be Rang Na Hote ,Judaian Kash Na Hoten
Aisa Ehsas Na Hota Tere Narm O Nazik Badan Ka
Aalam E Madhoshi Main Pakri Kalaian Kash Na Hoten
Ajeeb Hijar Parasti Thi Us Ki Fitrat Main
Shajar K Tuutey Patty Talash Krta Tha
Tamam Raat Wo Parde,Hata K Chaand K Saath
Jo Kho Gaye Wo Lamhe,Talaash Kerta
Kash Koi Aisa Ahal-E-Dil Hota Jo Meri Arzu Karta
Khoo Jati Agar Main Kahin, To Meri Justuju Karta
Mein Us Kay Zehan-o-Dil Main Kuch Is Tarah Sama Jati
K Lab Jab Bhi Kholta Meri Guftugu Karta
Main Tere Haath Pe Rach Jaunga Rangon Ki Tarah,
Tu Mera Naam Kabhi Haathon Pe Saja Ke To Dekh.
Main Tere Jism Mein Mehkunga Gulabon Ki Tarah,
Aa Kabhi Mujhko Dil Mein Basa Ke To Dekh.
Main Tere Lab Pe Chha Jaunga Muskarahat Ki Tarah,
Apne Honton Se Mera Naam Bula Ke To Dekh.
Main Teri Aankh Mein Bas Jaunga Kajal Ki Tarah,
Tu Meri Yaad Ka Ek Khawab Saja Ke To Dekh.
Main Bikhar Jaunga Chaar Su Khushion Ki Tarah,
Apne Naam Se Mera Naam Mila Ke To Dekh
Ab Dil Ki Khalvaton Main Tum Aa Kar Karogay Kiya
Hum Aarzo Ki Shamain Kab Ki Buja Chuke Hain
Mein Yun Miloon Tujhse Ke Tera Libaas Ban Jaon
Tujhe Bana Ke Samandar Aur Khud Pyaas Ban Jaon
Aaj Pehloon Mein Mujhe Toot Ke Bikhar Jane Do
Kal Ko Shayad Munkin Nahi Ke Mein Tumko Paon
Tu Ban Jaye Lehar Aur Mein Sahil Ban Jaon
Ho Ishq Mera Sahil To Mein Roz Tujhse Takraon
Mein Yun Miloon Tujhse Ke Tera Libaas Ban Jaon
Tujhe Bana Ke Samandar Aur Khud Pyaas Ban Jaon
Na Wo Farishta Ho Na Farishte Jaisa Ho
Mujhe Talash Hai Uski Jo Mere Jaisa Ho
Jo Khwaab Dene Ko Kadir Ho Meri Aankhon Ko
Meri Mohabbat Ko Pehchan Sake Woh Aisa Ho
Meri Khatir Marne Ka Hosla Bhee Rakhta Ho
Koi Bhee Ho Kahi Bhee Ho Bas Aisa Ho
Agar Kabhi Ruth Jaun Mein Usse To
Muskrake Manaye Woh Aisa Ho
Jo Baat Kare To Woh Nibha Bhee Sake
Iradon Mein Woh Apne Chattanon Jaisa Ho
Dukhon Mein Hansne Ka Hunar Janta Ho
Ik Aisa Hamsafar Jo Samandar Ki Tarah Gehra Ho
Us Ke Pyaar Ki Thandak Ho Mere Liye Aisi
Ke Woh To Bilkul Aasman Ke Chaand Jaisa Ho
Woh Sirf Mera Ho Jo Nigahon Mein Haya Rakhta Ho
Umar Bhar Saath Chale Buss Humsafar Mera Aisa Ho
dhadakta hai dil bas tumhari hi aarzoo me fir kaise na kahu meri
jaan ho tum.
Koshish Karne Walon Ki Her Nahin HotiLahron Se Dar Kar Nauka Par Nahin Hoti Koshish Karne Walon Ki Her Nahin HotiNanhi Chiti Jab Dana Lekar Chalti Hai Chadhti Deewaron Par Sau Bar Phislati HainMan Ka Viswas Ragon Mein Sahas Bharta Hain Chadhkar Girna Girkar Chadhna Na Akharta HainAkhir Uski Mehnat Bekar Nahin Hoti Koshis Karne Walon Ki Her Nahin HotiDubkiyan Sindhu Mein Gotakhor Lagata Hain Ja Jakar Khali Haath Laut Aata HainMilte Nahin Sahaj Hi Moti Gahre Pani Mein Badhta Duna Utsah Isi Hairani MeinMuthi Uski Khali Her Bar Nahi Hoti Koshis Karne Walon Ki Her Nahin HotiAsaflta Ek Chunauti Hain Swavikar Karo Kya Kami Rah Gayi Dekho Aur Sudhar KaroJab Tak Na Safal Ho Nid Chain Ko Tyago Tum Sangharshon Ka Maidan Chod Mat Bhago TumKuch Kiye Bina Hi Jayjaykar Nahin HotiKoshis Karne Walon Ki Her Nahin Hoti