ख़्वाहिश ए ज़िंदगी ___
बस इतनी सी है के साथ तुम्हारा हो
ओर ज़िंदगी कभी ख़त्म ना हो।
Khwaaish- e-zindagee bas itnee see hai ke saath tumhaara ho
or zindagee kabhee khatm na ho.
एक दिन, मेरी आँखों ने भी थक कर मुझसे कह दिया,
ख्वाब वो देखा करो जो पूरे हो, रोज-रोज हमसे भी रोया नही जाता..!!
Ek din meree aankhon ne bhee thak kar mujhse keh diya,
Khwaab wo dekha karo jo poore ho, roj-roj hamase bhee roya nahee jaata..!!
मैने कभी किसी को खुद से दूर नही किया बस जिस जिस का दिल भर गया ,
वो खुद बे खुद छोड़ कर चला गया...
Nafrat karoge toh bhi ayenge hum tere pass,
Kyunki tere bagair rehne ki addat ni mujhe.
Waqt badalne se utni takleef nahi hoti,
Jitni kisi apne ke badal jaane se hoti hai.
Aksar jinki hansi khooburat hoti hai,
Unke zakhm bhi kafi gehre hote hain.
Dil toota hai mera aur khwaab bikhar gaye,
Dard mila ishq me itna ki jakhmo se ham nikhar gaye.
"दिल" टूटा है मेरा और "ख्वाब" बिखर गये,
"दर्द" मिला "इश्क" मे इतना कि "जख्मो" से हम "निखर" गये.
Ankhon ko bhi le dooba ye dil ka pagal-pan,
Aate jate jo milta hai tum sa lagta hai.
आँखों को भी ले डूबा ये दिल का पागल-पन
आते-जाते जो मिलता है, तुम सा लगता है.
Tere Sang Sang Chalna hai In Kaanto bhari raahon mai,
Saari Zindagi Bitaani hai Teri Pyaar bhari baahon mai.
तेरे संग संग चलना है इन कांटो भरी राहों मई,
सारी ज़िंदगी बितानी है तेरी प्यार भरी बाहों मैं.
Kuchh to socha hoga kaayanaat ne tere-mere rishte par,
Warna itni badee duniya mein tujhse hee baat kyon hotee.
कुछ तो सोचा होगा कायनात ने तेरे-मेरे रिश्ते पर,
वरना इतनी बड़ी दुनिया में तुझसे ही बात क्यों होती.
Jab bhi teri yaad aati hai tab mai apne dil pe haath rakhta hun,
Kyunki mujhe pata hai tu kahin nahi miley toh yahan jarur milegi.
जब भी तेरी याद आती है तब मै अपने दिल पे हाथ रखता हूं,
क्युकी मुझे पता है तू कही नही मिले तो यहा जरुर मिलेगी .!!
नफ़रत करना है तो इस क़दर करना,
के हम दुनिया से चले जाए पर तेरी आँख में आंशु ना आए।
मैंने दरवाज़े पे ताला भी लगा कर देखा लिया,
पर ग़म फिर भी समझ जाते है की मैं घर में हूँ!!
Teri oor jati har hawa se kehte the hum,
Jara tumse keh de ki tumhe bahut yaad karte hain hum.
Bahut Nazdeek Hoke Bhi Wo Itna Door Hai Mujhse,
Ishara Ho Nahi Sakta, Pukaara Ja Nahi Sakta.
Agar Dard Hi Diya Hai Toh Itna De Mere Malik,
Ki Main Auron Ke Liye Mohabbat Se Tauba Karne Ki Wajah Ban Jaun.
Soch Kar Rakhna Hamari Saltanat Main Kadam,
Hamari ”Mohabbat” Ki Qaid Mein Zamanat Nahi Hoti.
Hum toh mazaak mai bhi kisi ko dard dene se darte hain,
Na jaane log kaise soch samajhkar dilon se khel jate hain.
Woh aaj fir se miley ajnabi se bankar,
Aur hume aaj fir se mohabbat ho gayi.
Roz tujhe ye soch kar yaad kar lete hain,
Ki aaj ke baad tujhe yaad nahi karenge.