Created At: 25/07/2023, 02:07:00
Updated At: 25/07/2023, 02:07:00
Hum ne to ishk ke nashey mai unko khuda bana dala...
Hosh to tab aya jab unhone kaha ki khuda kisi ek ka nhi hota...!!
Yeh din raat yeh lamhey mujhey achhey se lagte hain,
Tumhein sochun to saare silsiley achey se lagte hein.
Ajab haalat hain dil ki,
Na tum mere, na mai apna.!
तू अगर छोड़ के जाने पे तुला है तो जा,
जान भी जिस्म से जाती है तो कब पूछती है.!
Hum me to khair himmat gai, itna dukh sehne ki,
Tum itna dukh dete ho, thak to nahi jate.!
कुछ तो हिसाब करो हमसे,
इतनी मोहब्बत उधार में कौन देता है!
ज़ुल्म इतना ना कर की लोग कहेँ तुझे दूश्मन मेरा,
हमने ज़माने को तुझे अपनी “जान”‘ बता रख्खा हे..
Teri muhabbat ki hifazat kuch is tarah ki ham ne,
Jab kabhi kisi ne pyar se dekha nazre jhuka li hamne.
Chaale Jayenge Ek Din Hum Tujhe Tere Haal pe Chod kar E Sitaamgar…,
Kadaar Kya Hoti Hai Tuje Waqt Sikhaa Degaa.
Use shaq hai ki main uske liye jaan nahi de sakta...
Aur mujhe darr hai woh royegi bahut mujhe azmaane ke baad...
Kabhi to jhoont hi keh do ki mere bina adhoore ho tum,
Zara si baat kehne me tumhara kya bigadta hai.
Ittefaq se mil jate ho jab tum raah me kabhi,
Yu lagta hai karib se zindagi ja rahi ho jaise.
Maana ki bahut khaas hoon main apne pyaaron ke liye,
Lekin chand lamhon se zyaada koi na royega mere guzar jaane ke baad...
!!...Chal Tujhe dikha Doon Apne Dil ki Veeran Galiyan...!!
!!...Shayad ki Tujhe Taras Aa Jaye Meri Udaas Zindagi Par...!!
“Ye Darya Ishq Me kadam Jara Soch K Rakhna,
Es Mein Utarne Wale Ko Kabhi Kinara Nai Milta.”
Suraj ke doobne se main aur tanha ho gayi,
mera saya b alag ho gya, mere apno ki tarah.
Dil Kisise Tabhi Lagana Jab Dilo Ko Padna Sikh Lo,
Varna Har Ek Chehre Ki Fitrat Mei Wafadaari Nai Hoti.
Jo Hain Dil ke aayine mein, wahi pyaar ke kabil hain
Varna deewar ke kaabil toh har ek tasveer hoti hain.
Nikle hum duniya ki bheed mein to pata chala,
Ki har woh shaks akela hai jisne mohabbat ki hai.
Bahaana kyun talaasha rooth jaane ka,
Bas itna keh dete dil mein jagah nahi rahi ab.
Mujhe to pehale se hi yakeen tha teri
fitarat par
.
.
.
Bus tujhe nazare fer kar jaate huye
dekhana tha.
Kuchh to bewafayi he mujhme bhi,
Jo ab tak zinda hun tere begair.
Tu kaha hain, mere paas aa,
main kaha hoon, mujhe pataa chale.